
khamoshiyaan awaaaj ban gayi
gaane lagi tanhaai hai
dhadkano ab tham bhi jaao
unki yaad aayi hai.....
jamane gujre tumse mile hue
aankho me ashq chupae
hoton ko sile hue
mera dil to sahra ho gaya
tu aaj bhi purvaai hai....
dhadkano ab tham bhi jaao
unki yaad aayi hai....
har khushi adhoori rah gayi
jindgi majboori rah gayi
najro me tasvir thi ashqo me bah gayi
shikva karu to kisse mein
ye mere pyar ki rusvaai hai...
dhadkano ab tham bhi jaao
unki yaad aayi hai....
kisi or ko saathi bana lu ye meri hasrat nahi
jholi faila ke maang lu ye meri fitrat nahi
aur tu mil jaaye yun hi aisi to kismat nahi
aur to har koshish hamne
tere liye aajmai hai....
dhadkano ab tham bhi jaao
unki yaad aayi hai....
dhadano ab tham bhi jaao
unki yaad aayi hai
unki yaad aayi hai
unki yadd aayi hai....
....................................
unki yaad aayi hai
.jpg)
No comments:
Post a Comment